Tuesday, 26 July 2011

Katha Tara Rani ki


!! Tara Rani Katha !!


Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Maa Bhakton Ko Tara Rani Ki, Shubh Katha Sunayein
Bhed Bhav Ko Jo Hai Mitaati, Man Ke Beech Bithayein
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Huve Hain Ik Punjab Prant Mein, Raja Vaibhavshali
Sparsh Naam Tha Ush Daani Ka, Jholi Jish Ki Khaali
Kyun Mere Santaan Nahin Hai, Dukhi Hi Man Mein Rehta
Too Hi Door Karegi Chinta, Maa Se Hi Sab Kehta
Navratron Mein Jyot Jagakar, Nishchaye Apna Kar Ke
Moorti Maa Ki Dekh Raha Tha, Prem Mein Aansu Bhar Ke
Pushpon Ki Mala Se Thode, Phool Tabhi The Gir Gaye
Raja Ne Netro Se Lagaaya, Jeevan Ke Din Phir Gaye
Ek Varash Ke Baad Mein Aayi, Sharad Ki Pooranmasi
Taron Bhari Raat Mein Ghat Gayi, Ghar Ki Sabhi Udaasi
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Ek Kanya Aayi Mahalon Mein, Khush The Raja Rani
Brahmano Ne Thaa Naam Rakhaya, Ushka Tara Rani
Ek Saal Beeta Jaise Hi, Kanya Aur Ik Jaai
Rukaman Naam Rakha Tha Ushka, Raja Paai Badhaai
Raja Ne Kundli Banwaai, Brahman Bhi Ghabraaye
Ruka Ka Man Sab Dasha Dekh Kar, Raja Soch Doudaye
Bhrigu Saghinta Khulwai Tab, Brahman Ne Batlaaya
Rakho Na Ghar Mein Ish Kanya Ko, Bura Samaye Hai Aaya
Abhi Baha Do Jal Mein Ish Ko, Varna Pachhtaooge
Bheelon Ke Ghar Vaasa Ishka, Kaise Phir Vyahooge
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Shrap Milein Hain Do Janmo Se, Poori Katha Baatyein
Baat Hamari Poori Sunkar, Nadiya Beech Bahayein
Ek Baar Ye Dono Janmi, Inder Ke Ghar Aayi
Bani Apsara Nache Jhoome, Sab Ke Man Ko Bhai
Naach Naach Ke Haari Ik Din, Man Mein Soch Doudai
Ghoom Ke Aayein Mritulok Mein, Sudh-Budh Sab Bisraayi
Dha-Dha-Tit-Kit-Run-Jhun-Run-Jhun, Naach Kood Sab Chhoda
Oopar Se Neeche Ko Aayi, Swarg Se Nata Toda
Ek Doosre Se Ye Boli, Din Hai Mangalkari
Ekadashi Ka Vrat Dharte Hain, Jag Mein Sab Nar Naari
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Hum Dono To Subah Se Bhooki, Sachcha Vrat Kar Dala
Ho Gayi Hai Dopahar Bahan, Ab Mite Bhook Ki Jwaala
Jaao Kahin Se Phal Le Aao, Katha Sunege Mil Ke
Phalahaar Mil Ke Kar Lenge, Tab Tak Bin Jal Jal Ke
Rukaman Phal Lene Ko Nikli, Bhatke Jungle Jungle
Pata Nahin Neecho Ke Ghar Mein, Likha Hua Tha Ann Jal
Ek Ped Ke Neeche, Aadiwasi Harijan Dekhe
Mangu Inshe Kucch Khane Ko, Baar Baar Wo Soche
Paas Mein Baithi Ek Harijan, Ki Maa Bhoodi Boli
Patte Par Ishe Maas Thama Do, Bhooki Hai Ye Bholi
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Bhook To Ushko Sata Rahi Thi, Rukaman Ne Maas Khaya
Kya Kar Baithi Hoon Galti Main, Dhyaan Ushe Ne Aaya
Tod Ped Se Kele Laayi, Tara Ke Paas Rukaman
Der Ho Gayi Kyun Rukaman Ko, Shanka Mein Dhooba Man
Boli Rukaman Vrat Ko Todo, Ekadashi Manaao
Aaye Hain Jab Mritulok Mein, Poora Niyam Nibhao
Bhook Ke Dar Se Maas Kha Liya, Jaldi Hi Vrat Toda
Boli Tara Bhag Yahan Se, Kar Le Abhi Vichhoda
Shrap Diya Tara Ne Ushko, Bano Chhipkali Jaa Kar
Keede Aur Makode Khaao, Rahogi Jeevit Vish Par
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Bichhud Gayi Wo Swarg Log Ki, Aakar Yun Dharti Par
Aage Ki Kuch Katha Sunayein, Sunlo Man Pakka Kar
Bani Chhipkali Rukaman Dekho, Rahti Khaprailon Par
Mila Thikana Ush Daasi Ko, Gorakh Ke Teelon Par
Gorakh Nath Guru Ka Ashram, Jahan Tantarik Rehtein
Pooja Aur Pujapa Khaate, Kisi Se Kuchh Na Kehtein
Keertiman Naam Ka Sadhu, Nayi Siddhiyaan Bharta
Krodhi Tha Wo Aisa Kapti, Har Koi Thaa Darta
Jal Ka Ek Kamandal Bhar Ke, Baitha Tha Masti Se
Apni Siddhi Paaoon Akela, Door Rahe Basti Se
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Pyaasi Aa Gayi Ek Gaaye Wahan, Dekh Ushe Ne Paaya
Jal Ka Bhara Kamadal Ludka, Ushne Dhyaan Hataya
Lekar Chimta Bhaga Peechhe, Gaaye Ko Jake Peeta
Ghayal Ho Kar Tadap Gayi Wo, Pada Khoon Ka Chhinta
Gorakh Nath Guru Ne Dantta, Gaaye Ko Kyun Hai Mara
Hindu Hokar Dhyaan Nahin Hai, Kya Hai Dharam Hamara
Bhag Nikal Ashram Se Paapi, Phir Mookh Na Dikhlaana
Gaaye Hamari Dharam Ki Mata, Bhed Ne Toone Jaana
Vair Bhavnaa Man Mein Rakh Ke, Chala Gaya Ashram Se
Rehne Laga Akela Aakar, Krodh Na Nikla Man Se
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Laga Wo Karne Ulti Siddhi, Guru Se Badla Paaoon
Bade Yagye Mein Vighnn Main Daalu, Sab Ko Khoob Rulaoon
Udhar Guru Gorakh Man Hi Man, Dekh Gaaye Pachhtaate
Karunga Mein Samman Ishi Ka, Kuchh Upaye Puchhvaate
Santo Ne Nirnaye Le Dala, Aaye Pooranmasi
Karo Hawan Bhandare Ke Sang, Bulwaao Har Waasi
Sab Ne Mil Bhojan Khana Hai, Sab Ko Diya Nimantran
Chhote Bade Sabhi Hi Aaye, Bhara Guru Ka Angaan
Namaskar Kar Gou Mata Ko, Baithe Saare Aakar
Vedi Par Poojan Ki Padhaare, Gorakh Nath Guruwar
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Baat Kaan Mein Keertiman Ke, Saathi Ik Pahunchai
Badla Loonga Aaj Sabhi Se, Kapati Soch Doudaai
Roop Badal Ke Garud Pakshi Ka, Moo Mein Sarp Dabaaya
Jungle Jungle Udtaa Phirta, Paas Yagye Ke Aaya
Sabhi Magan The Bhajan Bhaav Mein, Kisi Ne Kuchh Na Dekha
Manav Ka Hatyaara Pahuncha, Laangh Dharam Ki Rekha
Chhipkali Dekh Rahi Thi Chhip Ke, Jaishe Sanmukh Aaya
Kheer Ka Dhakkan Paapi Phekan, Mookh Se Sarp Giraya
Jo Khaayega Mar Jaayega, Paap Vo Kar Ke Bhaga
Kisi Ko Marne Na Mein Doongi, Chhipkali Mein Dukh Jaaga
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Ushne Phir Chhalaang Lagaai, Ghoomi Bartan Oopar
Bartan Ki Tali Tak Thaa Pahuncha, Mara Hua Wo Wishdhar
Garam Garam Ush Kheer Mein Girkar, Ushne Praan Gawaanye
Dekho Chhoti Jeev Aatma, Apna Karm Nibhaaye
Ishwar Ki Ichha Ke Aage, Kucch Na Jag Mein Hoye
Jako Rakhe Sayin Jag Mein, Maar Na Sakiayaa Koye
Poornahuti Huyi Havan Ki, Guruwar Bole Jaao
Mere Shishyo Bhandare Ki, Kheer Ka Bhog Lagao
Kadchhi Leke Jaise Pahunche, Kheer Dekh Ghabraaye
Giri Chhipkali Giri Chhipkali, Sadhu Shor Machaaye
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Gorakhnathji Sun Ke Doude, Kiya Krodh Wahan Bhaari
Ari Dushtini Kahan Se Aayi, Ban Ke Too Mahamari
Neech Karm Kyon Kiya Hai Toone, Neeche Kul Jaayegi
Aisa Shraap Diya Hai Tumko, Ab Na Bach Paayegi
Gadde Mein Sab Kheer Phenk Do, Koi Ihse Na Khaaye
Daalo Mitti Ish Ke Oopar, Vish Sara Dab Jaye
Utha Ke Bartan Bhari Kheer Ka, Jaise Hi Ludkaaya
Mara Hua Ik Sarp Bhayaanak, Jhak Se Gir Ke Aaya
Dekh Guruwar Ab Ghabraaye, Man Ki Soch Doudaai
Dhyaan Mein Unke Saari Ghatna, Sapna Ban Ke Aayi
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Dhanya Chhipkali Jisne Sab Ko, Marne Se Hai Bachaaya
Dharm Ki Raksha Ko Karne Mein, Apna Roop Jalaaya
Jeevan Sudhre Agle Janam Ka, Naari Ban Jaaogi
Jaise Tumne Bhala Kiya Hai, Achcha Phal Paaogi
Katha Janam Ki Phichhle Sun Ke, Raja Dukh Mein Roya
Itni Pyaari Beti Pakar, Maine Sab Kucch Khoya
Bole Brahman Karo Vidaai, Gorakh Shraap Diya Thaa
Pehli Baar Mein Punya Lut Gaya, Jo Ke Jaap Kiya Thaa
Ushi Shraap Ke Karan Kanya, Neeche Kul Jaayegi
Nadiya Mein Ab Ihse Baha Do, Yahan Ne Reh Paayegi
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Chhod Ke Apni Beti Ka Moh, Paani Beech Baha Do
Karmo Ka Likha Hona Hai, Man Ki Soch Hata Do
Raja Ne Sandook Manga Ke, Dukh Se Beech Litaya
Heere Moti Chaandi Sona, Charano Mein Rakhwaaya
Kaha Laadli Kshama To Kar Do, Toota Prem Ka Dhaga
Kanyadaan Kara Bachpan Mein, Mujhsa Koun Abhaaga
Raksha Lehron Se Ki Maa Ne, Tha Sandook Wo Jal Mein
Subah Huyi Ek Pandit Dekha, Lalach Aaya Man Mein
Bula Harijan Ko Pandit Ne, Kaha Bhanwar Mein Jaao
Pehla Hissa Dena Mujhko, Doosre Ko Tum Paao
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Dono Ne Hisson Ko Banta, Leela Prabhu Dikhai
Heere Moti Brahman Leene, Bheel Ne Kanya Paai
Bade Chaav Se God Mein Bhar Kar, Sounpa Gharwaali Ko
Doodh Pilaya Mata Bankar, Dukh Karmo Waali Ko
Maat Pita Ke Pyaar Ko Pakar, Tarun Awastha Aayi
Harijano Ne Ek Yuvak Se, Kar Di Prem Sagaai
Udhar Sparsh Raja Ne Tara, Ka Bhi Vyaah Rachaaya
Raja Harichand Maa Ka Sewak, Shubh Sambandh Karayaa
Kalwa Namak Bada Harijan, Jish Se Rukaman Vyaahi
Dhoom Dhaam Se Kali Maa Ki, Rukaman Jyot Jagai
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki 

Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Maa Bhakton Ko Tara Rani Ki, Shubh Katha Sunayein
Bhed Bhav Ko Jo Hai Mitaati, Man Ke Beech Bithayein
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Paas Paas Main Do Behne Hain, Harichandra Ka Raj Jahan
Phire Bhaag Dono Ke Aeyse, Ik Rani Ik Bheel Yahan
Pooranmaasi, Ekadashi Yahan Pe Shubh Navraate
Tara Ke Yahan Utsaav Manta, Karte Sab Jagraate
Magan Ho Gayi Dekh Ke Rukaman, Bhaav Ye Man Mein Aaya
Jagaran Mein Bhi Karvaaungi, Karo Daya Mahaamaaya
Haath Mein Jhaadu Leker Rukaman, Mahal Ke Bahar Aayi
Dwaarpaal Ko Dekh Ke Ushne, Dhool Hi Dhool Udaai
Aakhen Masle Dwaarpaal, Jab Rukaman Mahal Mein Aayi
Dhoka Dekar Boli Maa Se, Karo Daya Maahaamai
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Prem Bhaav Se Baithi Rukaman, Mahal Ke Ja Dwaare Par
Mata Ke Mandir Ko Dekha, Prem Mein Akhiyan Bhar Kar
Boli Maa Se Rahoon Abhaagan, Jaga Na Sun Paaoon
Tera Dwara Chhod Ke Janani, Kiske Dwaare Jaaoon
Peechhe Jab Parchhai Dekhi, Tara Aakar Boli
Koun Ho Tum Ae Sawanli Naari, Kiski Tu Humjoli
Rukaman Boli Bhagya Heen Hoon, Dukhi Hai Mera Jeewan
Bheelon Ke Ghar Gayi Vyaahi, Naam Hai Mera Rukaman
Ek Hai Ichha Mere Ghar Mein, Jagarata Karwaa De
Binti Karti Hoon Main Tum Se, Saare Niyam Bata De
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Maine Maa Se Putra Hai Manga, Ho Jab Poori Vaani
Jagarata Ghar Karwaoongi, Bulwaaoon Har Praani
Phool Batashon Se Bharti Hoon, Behan Mein Teri Jholi
Hoga Jab Jagarata Aaoon, Tara Rani Boli
Namaskaar Kar Maha Jyoti Ko, Rukaman Paai Vidaai
Harijano Ne Khushi Manaai, Rukaman Leeni Vadhaai
Ek Saal Mein Beta Pakar, Janam Diwas Manaaya
Mundan Keena Anand Maana, Dhyaan Ne Maa Ka Aaya
Vachan Bhulaaya Jab Rukaman Ne, Socha Chamunda Ne
Bete Ke Mukh Daane Nikale, Lagi Tabhi Ghabraane
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Haath Jod Kar Sitala Maa Ko, Chawal Mutthi Laayi
Kesar Se Rang Kar Chawal Ko, Koudi Paanch Rakhaai
Laal Vastra Mein Baandh Ke Del Ko, Beta Godi Leena
Shradha Rakh Ke Ghar Se Nikli, Man Mein Sukh Kuchh Deena
Tara Ne Rukaman Ko Dekha, Mahal Se Neeche Aayi
Boli Jagaran Ke Del Le Lo, Shradha Se Main Laayi
Tara Ne Del Rukaman Se Le, Bade Pyaar Se Choome
Aaoongi Main Vachan De Rahi, Daasi Ambe Ki Main
Naai Sunaina Ne Chupke Se, Raja Ko Batlaaya
Rani Tara Ne Del Lekar, Saara Dharam Dubaya
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Chahate Ho Yadi Dharam Bachana, Ushko Naa Jaane Do
Oonch Neech Ke Bhed Ko Samjho, Maryada Rehne Do
Itni Sunkar Baat Harichand, Tabhi Mahal Mein Aaya
Ungli Kaati Le Kataar Se, Teekha Namak Lagayaa
Bola Rani Haath Darad Hai, Neend Nahin Aayegi
Tere Ghutno Par Sar Rakkhoon, Chinta Hat Jaayegi
Tara Rani Khoyi Huyi Thi, Jaage Ki Masti Mein
Sabhi Raaste Band Pade The, Andhakaar Basti Mein
Bijli Kadke Raat Andheri, Rim Jhim Barse Paani
Mata Ne Kyun Lee Hai Pareeksha, Soche Tara Rani
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Udhar Khadi Rukaman Dware Pe, Rasta Dekh Rahi Hai
Kya Aayegi Wachan Nibhaane, Man Mein Soch Rahi Hai
Nidra Roopi Mata Aao, Tara Ne Ye Tera
Neend Aa Gayi Patidev Ko, Allash Mein Moo Phera
Bhakti Mein Shakti Hoti Hai, Bhaav Ye Man Mein Aaya
Saari Vipadaa Taali Maat Ne, Rasta Ushe Dikhaya
Sawaa Laakh Ka Zevar Jag-Mag, Vastra Heere Jade The
Paajeb Sone Ki Damke, Aage Chor Khade The
Ratan Jadit Khadaoon Ruk Gayi, Dekh Chor Ne Roka
Lootenge Hum Tum Ko Naari, Krodh Mein Aake Toka
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Dekh Ke Apne Ko Sankat Mein, Tara Maa Ko Tera
Phat Gaya Pallu Chhooti Khadau, Toot Gaya Sab Ghera
Tara Ka Samaan Gira Jo, Chor Uthane Aaye
Hila Saanp Bichchu Wo Bankar, Dekh Sabhi Ghabraaye
Tara Bhaiy Se Bhaag Rahi, Rukaman Bhahar Khadi Hai
Baithoon Pooja Mein Sang, Ushke Lekar Wachan Adi Hai
Udhar Harichand Raja Jaaga, Rani Ko Ne Paaya
Utha Khadag Haatho Mein Apne, Mahal Se Bahar Aaya
Thodi Der Pehle Ki Saari, Chor Ne Baat Bataai
Udhar Gayi Ik Sundar Naari, Aur Khadaoon Dikhai
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Shanka Kar Ke Raja Pahuncha, Bheelon Ki Nagari Mein
Pairon Ke Chinh Dekhe Ushne, Rani Ke Raste Mein
Dono Behne Gale Mil Rahi, Maa Ki Leela Nyaari
Rukaman Boli Swaagat Rani, Huye Magan Nar-Naari
Aaj Amawas Ki Andhiyaari, Kali Maa Ko Bhave
Ala Bala Sab Door Hai Hoti, Har Koi Naache Gaave
Tara Boli Pitra Manao, Chawal Se Kalash Bhar Do
Brahman Ko Ye Daan Hai Milta, Taka Swaran Ka Dhar Do
Maathe Pe Sindoor Laga Ke, Baqraa Ek Mangaya
Paanch Tarah Se Ushko Kaata, Oopar Waraq Lagaaya
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Tote Tote Ushke Kar Ke, Kali Bhog Lagaaya
Sabse Pehle Dewarani Ko, Kadwaa Wachan Sunaya
Raja Bahar Dekh Raha Tha, Ghatna Ye Chupke Se
Badlaa Loonga Mein Rani Se, Loute Jab Andar Se
Jholi Bharke Tara Rani, Jaise Bahar Aayi
Le Talwaar Harichand Ghoore, Rani Ab Ghabraai
Rani Toone Chhote Ghar Mein, Aake Shaan Girayi
Jholi Khol Dikha De Kya Hai, Laaj Ne Tujhko Aayi
Dhyaan Lagake Maiya Ka, Tara Ne Maangi Duhaai
Kali Maa Ne Bhog Le Liya, Vaishno Chhavi Dikhai
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Lahu Ban Gaya Kesar Dekho, Hadiyaan Bani Makhaane
Giri Chhuhare Bhole Chamke, Sab Kuch Badlaa Maa Ne
Kaali Madira Doodh Ho Gayi, Chambe Haar Ke Chawal
Meetha Pun Ho Gaya Sabhi Mein, Bhar Gaya Sukh Se Anchal
Raja Chakit Hua Jab Dekha, Par Vishwaas Ne Aaya
Maa Ki Shakti Dekhoon Main Bhi, Raja Jagan Rachaaya
Rani Pe Talwaar Uthakar, Bola Tujhko Maaru
Bahut Samaye Se Bhatak Rahi Ho, Ek Waar Mein Taaru
Rani Haath Pakad Kar Boli, Shanka Abhi Mitaaoon
Mata Ka Darbar Hai Saacha, Man Ki Mail Hataaoon
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Tara Boli Mujhko To, Wishwaas Hai Maa Ka Bhaari
Kaato Bete Ko Ghode Sang, Le Ke Haath Kataari
Kabhi Bhi Maa Na Putra Maarti, Maa Ka Amar Hai Nata
Dekh Le Maa Ka Chamatkaar, Ab Kyun Man Mein Pachhtaata
Raja Ne Talwaar Utha Kar, Krodh Mein Tabhi Nihaara
Ghode Aur Bete Ko Jaa Ke, Ek War Mein Maara
Dheeraj Rakh Ke Tara Ne, Taambe Ke Kalash Mangaaye
Maas Daal Kar Un Dono Ka, Dhakkan Bade Rakhaaye
Raja Ne Geeli Lakdi Ko, Chun Ke Wahan Giraaya
Mantra Bol Kar Tara Ne, Phir Agni Ko Pragtaaya
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Rani Ne Ik Lakdi Lekar, Maas Mein Tabhi Ghumaai
Phansi Huyi Ungli Mein Angoothi, Bete Ki Dikhlaai
Soche Raja Jish Bete Ka, Maine Janam Manaya
In Paapi Haathon Ne Mujhse, Kyaa Anyaaye Karaaya
Kate Huye Ghode Ko Dekhein, Baar Baar Pachhtaaye
Jiski Khoob Sawari Karta, Wo Bhi Diyaa Mitaaye
Bilakh Bilakh Ke Raja Roya, Mahal Udaasi Chhai
Sharnaagat Di Nath Mantra Ki, Ushne Alakh Jagaai
Jyoti Ki Lapton Mein Goonji, Waani Ek Niraali
Kshama Kiya Tumko Rajan Maa, Sab Ki Hai Rakhwaali
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Raja Bola Kahan Hai Beta, Bhar Do Jholi Khaali
Tere Pujaari Ke Haathon Se, Bikhri Pooja Thaali
Baar Baar Jab Khoob Pukara, Beta Sanmukh Aaya
Neela Ghoda Ghudsaal Mein, Daana Chugtaa Paaya
Bete Ko Jaa Gale Lagaaya, Dee Ghode Ko Thapki
Dekh Rahi Sab Leela Tara, Boli Maa Hai Sabki
Jyoti Mein Aa Ke Ambe Ne, Saari Baat Bataai
Tara Rukaman Dono Behne, Ek Maat Ki Jaai
Chhote Bade Ka Bhed Mitakar, Kiya Mera Jagraata
Aaj Se Ye Andar Ka Marag, Beech Sabhi Ke Aata
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Ishi Beech Raja Ne Dekha, Garma-Garam Kadhaya
Maas Bana Bete Ka Halwaa, Aeysi Badli Kaaya
Ghode Maas Ke Chane Ban Gaye, Raja Shish Jhukaya
Tara Rukaman Ne Bhi Dekhi, Maa Ki Adbhut Maaya
Bhog Lagaakar Mahajyot Ka, Keenha Kanya Poojan
Ek Launkadaa Veer Jimaya, Kar Langar Ke Darshan
Raja Ko Vairaag Ho Gaya, Saadhu Kapde Pehne
Maat Naam Ki Mala Daali, Tyaag Diye Sab Gehne
Do Behno Ki Amar Kahani, Raja Ke Man Bhaaye
Oonch Neech Ka Bhed Mitaao, Maa Ka Panth Bataaye
Dhyaanu Ne Ye Katha Samaj Kar, Chhando Mein Likh Daali
Santo Aur Mahanto Ne Gaa, Maa Ki Kirpa Paali
Katha Hai Tara Rani Ki Ye Katha Hai Tara Rani Ki

Bolo Sanche Darbar Ki Jai

!! Jai Mata Di !!

No comments:

Post a Comment